Tuesday, 11 October 2011

Kitabo k panno ko palat k sochta hu,
yu palat jaye meri zindagi to kya baat ho,
khwabo mein roz milti hai jo,
haqiqat mein mil jaye to kya baat ho,
kuch matlab k liye dhundhte hain mujhko,
bin matlab jo aaye to kya baat ho,
Qatl kar k to sab le jayenge dil mera,
koi aankho se chura le jaye to kya baat ho

ab achha lagta hai

Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai;

Khamoshi se dard ko sehna acha lagta hai;

Jis hasti ki yad mein Aanso barastey hain;

Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai;

Mil ker us se Bichar na jaon darta rehta hon;

Is liye bas door hi rehna acha lagta hai;

Janta hon k chahat main bas anso milte hain;

Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai;

Ji chahey sb khushiyan lai kar us ko de don;

us ke pyar main sb kuch khona acha lagta hai..

aisa nahi hai............

......Aisa nahi Ki sirf usi ki chahat hai Humain,
par kya karu koi chahta bhi to Nahi hai Humain.
unki yaado me bhi rahne ki adat nahi hai humain,
lekin kya karu kisi or ki yaad aati bhi to Nahi hai humain.
janta hu iss tarah tanha raahege na kabhi,
par wo din kab aayega yahi to pata nahi hai humain.

kya likhu!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

ab me kya likhu, likhne ka kuchh bacha nahi.
jab wo the to sab tha,
jab wo hi nahi ab kuch bhi bacha nahi.
chahte the jab hum use,
to wo bhi chahti thi mujhe.
ab sab chahte hai use,
to uske liye kuchh bacha nahi.
log haste hai meri prem kahani sunkar,
or kahte hai ab tumhari jindagi me kuchh bacha nahi.
bacha hai kewal sahyari,
so bhi tum romantic shayri likhte nahi.
ab me unhe kaise batau ki meri jindagi bhi ek sad hai,
or sad ke alawe meri jindagi me kuchh bacha nahi.
isliye likhu to kya likhu, likhne ka kuch bacha nahi.
kaise kahu ki tum meri koun ho,

jab se tumhe dekha hai tab se ye dil diwana hai

pagal hai dil ter pyaar me

par tum kaise samjhogi,

tumhe to sirf tarpana achha lagta hai

kaise batau tumhe ki jab

tumhe nahi dekhta hu to

kya gujarta hai mere dil ko

or jab tumhe dekhta hu,

to kitna achha lagta hai mere dil ko

par tum nahi janti.

lekin tum janogi kaise

tum, to ek nayi sapno me khoyi ho.

ek esa sapna jiska raaj kumar koi or hai,

khusanasib hoga wah raajkumar

jiske liye tere dil darkata hai.

badnasib to me hu,

jiske liye tera dil pathar ho jata hai.

me ye bhi janta hu ki

tum mujhse nafarat karti ho,

par kya karuyeye dil baar baar yahi kahta hai

sirf tummmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm

................................................................

...........................................

????????????????????

gussa kyu aata hai

akhir hume gussa kyu aata hai....
papa ke ek chhoti si daat par,
mummmy ke dular par.
akhir hume gussa kyu aata hai.

yaaro ke majak par,
teacher ke maar par,
akhir hume gussa kyu aata hai.

jhuthi baat par,
kabhi kabhi sachchi baat par,
akhir hume gussa kyu aata hai.

unke prem par,
unke chritra par,
unke didar par,
akir hume gussa kyu aata hai.

dil chahta hai......

tumne puchha tha kabhi ki mera dil kya chahta hai
to aaj me tunhe batata hu ki mera dil kya chahta hai--

tere aankho me dub jane ko ji chahta hai.

tere dil me rahkar darkane ko ji chahta hai.

tere maan me ghar basane ko ji chahta hai.

tere hotho ko jindagi bar chumane ko ji chahta hai.

.....tere naam ko apne naam me jodane ko ji chahta hai.

tere mere dosti ko pyaar ka naam dene ko ji chahta hai.

tere saath jiwan bar nibhane ko ji chahta hai......

what is love???????????

kya hai ye pyaar
pyaar, pyaar pyaar,

kya hai ye pyaar.

koi pyaar ke rang me duba hua hai,

koi pyaar ke gam me duba hua hai.

har taraf charchye hai pyaar ka,

idhar dekho pyaar,

udhar dekho pyaar.

akhir kya hai ye pyaaar.

dil ki sapna hai ya dil ka haqikat hai.

janta hu ye pyaar do dino ki hai,

do kshano ki hai.

ye jante hua bhi ki .

wo meri nahi ho sakti.

to kyu mera dil darkana chahta hai,

or usse pane ki umeed rakhta hai.

me khud nahi janta ki ye kya hai.

kya ye pyaar hai???

agar ye pyaar hai,

to use kyu ahssas nahi.

to fir kya hai,

pyaar$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$.....