Tuesday, 11 October 2011

Kitabo k panno ko palat k sochta hu,
yu palat jaye meri zindagi to kya baat ho,
khwabo mein roz milti hai jo,
haqiqat mein mil jaye to kya baat ho,
kuch matlab k liye dhundhte hain mujhko,
bin matlab jo aaye to kya baat ho,
Qatl kar k to sab le jayenge dil mera,
koi aankho se chura le jaye to kya baat ho

ab achha lagta hai

Us ke bina ab chup chup rehna acha lagta hai;

Khamoshi se dard ko sehna acha lagta hai;

Jis hasti ki yad mein Aanso barastey hain;

Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai;

Mil ker us se Bichar na jaon darta rehta hon;

Is liye bas door hi rehna acha lagta hai;

Janta hon k chahat main bas anso milte hain;

Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai;

Ji chahey sb khushiyan lai kar us ko de don;

us ke pyar main sb kuch khona acha lagta hai..

aisa nahi hai............

......Aisa nahi Ki sirf usi ki chahat hai Humain,
par kya karu koi chahta bhi to Nahi hai Humain.
unki yaado me bhi rahne ki adat nahi hai humain,
lekin kya karu kisi or ki yaad aati bhi to Nahi hai humain.
janta hu iss tarah tanha raahege na kabhi,
par wo din kab aayega yahi to pata nahi hai humain.

kya likhu!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

ab me kya likhu, likhne ka kuchh bacha nahi.
jab wo the to sab tha,
jab wo hi nahi ab kuch bhi bacha nahi.
chahte the jab hum use,
to wo bhi chahti thi mujhe.
ab sab chahte hai use,
to uske liye kuchh bacha nahi.
log haste hai meri prem kahani sunkar,
or kahte hai ab tumhari jindagi me kuchh bacha nahi.
bacha hai kewal sahyari,
so bhi tum romantic shayri likhte nahi.
ab me unhe kaise batau ki meri jindagi bhi ek sad hai,
or sad ke alawe meri jindagi me kuchh bacha nahi.
isliye likhu to kya likhu, likhne ka kuch bacha nahi.
kaise kahu ki tum meri koun ho,

jab se tumhe dekha hai tab se ye dil diwana hai

pagal hai dil ter pyaar me

par tum kaise samjhogi,

tumhe to sirf tarpana achha lagta hai

kaise batau tumhe ki jab

tumhe nahi dekhta hu to

kya gujarta hai mere dil ko

or jab tumhe dekhta hu,

to kitna achha lagta hai mere dil ko

par tum nahi janti.

lekin tum janogi kaise

tum, to ek nayi sapno me khoyi ho.

ek esa sapna jiska raaj kumar koi or hai,

khusanasib hoga wah raajkumar

jiske liye tere dil darkata hai.

badnasib to me hu,

jiske liye tera dil pathar ho jata hai.

me ye bhi janta hu ki

tum mujhse nafarat karti ho,

par kya karuyeye dil baar baar yahi kahta hai

sirf tummmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm

................................................................

...........................................

????????????????????

gussa kyu aata hai

akhir hume gussa kyu aata hai....
papa ke ek chhoti si daat par,
mummmy ke dular par.
akhir hume gussa kyu aata hai.

yaaro ke majak par,
teacher ke maar par,
akhir hume gussa kyu aata hai.

jhuthi baat par,
kabhi kabhi sachchi baat par,
akhir hume gussa kyu aata hai.

unke prem par,
unke chritra par,
unke didar par,
akir hume gussa kyu aata hai.

dil chahta hai......

tumne puchha tha kabhi ki mera dil kya chahta hai
to aaj me tunhe batata hu ki mera dil kya chahta hai--

tere aankho me dub jane ko ji chahta hai.

tere dil me rahkar darkane ko ji chahta hai.

tere maan me ghar basane ko ji chahta hai.

tere hotho ko jindagi bar chumane ko ji chahta hai.

.....tere naam ko apne naam me jodane ko ji chahta hai.

tere mere dosti ko pyaar ka naam dene ko ji chahta hai.

tere saath jiwan bar nibhane ko ji chahta hai......

what is love???????????

kya hai ye pyaar
pyaar, pyaar pyaar,

kya hai ye pyaar.

koi pyaar ke rang me duba hua hai,

koi pyaar ke gam me duba hua hai.

har taraf charchye hai pyaar ka,

idhar dekho pyaar,

udhar dekho pyaar.

akhir kya hai ye pyaaar.

dil ki sapna hai ya dil ka haqikat hai.

janta hu ye pyaar do dino ki hai,

do kshano ki hai.

ye jante hua bhi ki .

wo meri nahi ho sakti.

to kyu mera dil darkana chahta hai,

or usse pane ki umeed rakhta hai.

me khud nahi janta ki ye kya hai.

kya ye pyaar hai???

agar ye pyaar hai,

to use kyu ahssas nahi.

to fir kya hai,

pyaar$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$.....

Tuesday, 12 July 2011

na chahate hua bhi..........

na chahte hua bhi jiye ja rha hu,
aankho ke asko ko piye ja rha hu,
har baat apni man ki chhipaye ja rha hu,
kah nahi sakta kisi se kuchhrra badnaam,
bas jubaan ko siye ja rha hu,
sajye the jo sapne in aankho me,
usse bhi anjaan hua ja rha hu,
fir bhi na jane kyu kis umid ke sahre jiye ja rha hu..

ek din...................

ye pyaar kya hota hai...
is pyaar ke chakar me maine,
ek din me ek kavi ke yaha fasa,

me puchha--ki ye pyaar kya hota hai??

unhone pahle muskuraye fir mujhe bathaye.

uske baad mujhe chay pilai or khud bhi piya.

jab mene fir wahi sawal kiya ki,

to unhone mujhse hi puchh baitha ki kya pyaar kisi se karte ho.

mene kaha nahi,,, par karne ko sochh rha hu..

ab wo badak gaye or kahne lane pyaar koi khel nahi hai bachu,

pyaar mout hai, pyaar pagalpan hai,

pyaar tadap hai, pyaar jandagi hai..

mene sochha pyaar to ajeeb khel hai bhai,

ye mout bhi hai or jindagi bhi,,,

par wo to ese suna rhe the ki,

jaise koi pagal apne dun me ho...

ab me jane ki socha, or jane laga,

to uske paharedar ki adesatamak awaj aaya.--

wahi baithe raho uthane ki kosis bekar hai.

mene kaha me ab or sunu to behosh ho jayuga.

fir usne kaha ki agar kavi ji pura nahi sunayege to kavi ji hi mar jayege.

tab mene kaha jo bhi ho par me ab ruk nahi sakta,

to usne kaha aap abhi se hi ghabra rhe hai,

inke pitaji bhi kavi hai iske baa

Wednesday, 27 April 2011

sochta hu kya likhu..........

sochta hu ek achhi si shayari likhu,
lekin jab Mai Shayar hi Nahi ,to kya likhu.
sochta hu uska naam sare jahaan pe likhu,
par wo to hume janti hi nahi, to kya likhu.
sochta hu apne adhure prem khahani ko likhu,
lekin jab pyaar pura hua hi nahi, to kya likhu.
sochta hu jo hume janm diya unke baare me likhu,
par jab humne unke liye kuch kiya hi nahi, to kya likhu.
sochta hu kuchh khusiya ki baatein likhu,
lekin dil me sirf dard hi dard hai, to kya likhu.
sochta hu kuchh apne baare me likhu,
par jab main kuchh hu hi nahi, to kya likhu.
sochta hu kuchh naye purane likhu,
lekin sochta hu likhu, to kya likhu.

Tuesday, 26 April 2011

i like sharukh khan movie.here i am sharing shahrukh"s movies dailouge ;;;;--------------------
......''dil ke chhale ko koi sayri kahe,
dard nahi hota hai.
taklif to tab hoti hai,
jab log wah wah karte hai.

''ajeeb itafak hai jise me pyaar karta hu,
wo mil nahi sakti.
jo mujhe pyaar karti hai,
use me nahi mil sakta.

babuji ne kaha-paro ko chhod do
paro ne kaha sarab chhod do
aaj tumne kaha ye ghar chhod do
ek din wo aayge or kahege ye duniya hi chhod do

koun kambakt bardast karne ko pita hai,
hum to pite hai yaha par baid sake
tumhe bardast kar sake, tumhe dekh sake
paro ko bhula sake....

''apne hisse ki jindagi to hum ji chuke
ab to bus darkano ka lihaz karte hai
magar kya kare duniya walo ko
jo aakhri sans par bhi aitaraz karte hai..

kitni aasani se kah diya, ki
tumhe har pal yaad karti yhi.
magar ye kabhi na sochha ki
un palo me bitata to me hi tha
diya tum jalati thi
lekin jalta to me hi tha.

''badi hasi aati hai,itti badi thi tu,
kitni badi ho gai.bda sa makan,
badi jamindari,bade bade
ladke ladkiya or choudhari babu.
sabhi bade hai na paaro!!!!!

kyu na ho, tum kar sakte ho,
me nahi kar sakti.tumhara rup hai,gun nahi
humara rup bhi hai or gun bhi.

tum dono me kitna fark hai,fir bhi kitni samta.
ek hai sawabhamani, udant.
dusri kitni sant, kitni saymi.
wah khuch bhi bardast kar sakti,
tumhari sahnsakti ki had nahi.
uska kitna naam hai or tumhari kitni badnami.
use sabhi pyaar karte hai, tumhe koi nahi.
magar me karta hu, besak karta hu....pyaar...........................
DEVDAAS..

.KItni shidaat se main tumhe paane ki koshish ki hai,

hi har zaare ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai.

Kehte hain ki ...... Agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai

Aaj aap sabh ne mujhe meri chaahat se milaeya, thank you, thank you very much. Main aap sab ka shukar guzaar hoon.

Ki aapne mere kwabon ko yakeen mein badal diya, itna ki I feel like the King of thee World.

Aur aaj, is baat ka bhi yakeen ho gaya, ki humari filmon ki tarah humari zindagi mein bhi end mein sab theek ho jaata hai
.
Happys Endings. Aur agar, aur agar theek na ho to woh the end nahin hai dosto, picture abhi baaki hai..........
.ॐ शांति ॐ ........

Monday, 25 April 2011

Apni Battein: ye pyaar kya hota hai?????

Apni Battein: ye pyaar kya hota hai?????: "ek din me ek kavi ke yaha fasa, me puchha--ki ye pyaar kya hota hai?? unhone pahle muskuraye fir mujhe bathaye. uske baad mujhe chay p..."

ye pyaar kya hota hai?????

ek din me ek kavi ke yaha fasa,

me puchha--ki ye pyaar kya hota hai??

unhone pahle muskuraye fir mujhe bathaye.

uske baad mujhe chay pilai or khud bhi piya.

jab mene fir wahi sawal kiya ki,

to unhone mujhse hi puchh baitha ki kya pyaar kisi se karte ho.

mene kaha nahi,,, par karne ko sochh rha hu..

ab wo badak gaye or kahne lane pyaar koi khel nahi hai bachu,

pyaar mout hai, pyaar pagalpan hai,

pyaar tadap hai, pyaar jandagi hai..

mene sochha pyaar to ajeeb khel hai bhai,

ye mout bhi hai or jindagi bhi,,,

par wo to ese suna rhe the ki,

jaise koi pagal apne dun me ho...

ab me jane ki socha, or jane laga,

to uske paharedar ki adesatamak awaj aaya.--

wahi baithe raho uthane ki kosis bekar hai.

mene kaha me ab or sunu to behosh ho jayuga.

fir usne kaha ki agar kavi ji pura nahi sunayege to kavi ji hi mar jayege.

tab mene kaha jo bhi ho par me ab ruk nahi sakta,

to usne kaha aap abhi se hi ghabra rhe hai,

inke pitaji bhi kavi hai iske baad to wo aa rhe hai.....

Sunday, 24 April 2011

mera dil chahta hai.....

tumne puchha tha kabhi ki mera dil kya chahta hai
to aaj me tunhe batata hu ki mera dil kya chahta hai--

tere aankho me dub jane ko ji chahta hai.

tere dil me rahkar darkane ko ji chahta hai.

tere maan me ghar basane ko ji chahta hai.

tere hotho ko jindagi bar chumane ko ji chahta hai.

.....tere naam ko apne naam me jodane ko ji chahta hai.

tere mere dosti ko pyaar ka naam dene ko ji chahta hai.

tere saath jiwan bar nibhane ko ji chahta hai......

Saturday, 23 April 2011

about my self.......

I am a person who is positive about every aspect of life. There are many things I like to do, to see, and to experience. I like to read, I like to write; I like to think, I like to dream; I like to talk, I like to listen. I like to see the sunrise in the morning, I like to see the moonlight at night; I like to feel the music flowing on my face, I like to smell the wind coming from the ocean. I like to look at the clouds in the sky with a blank mind, I like to do thought experiment when I cannot sleep in the middle of the night. I like rose. I like to sleep early, I like to get up late; I like to be alone, I like to be surrounded by people. I like country’s peace, I like metropolis’ noise; I like delicious food and comfortable shoes; I like good books and romantic movies. I like the land and the nature.